Message Category: Poetry SMS
Submit by -
HyDer
Mobile -
+923344081461
Message ID -
81889
Characters -
416
Submit Date -
5/28/2012 2:11:40 AM
Zameen kay rotay hai aasman pe chalna hai
'Zameen pe rehtay huay aasman pe chalna tha
Hadood-e-waqt se agay hamain nikalna hai
Qiyam karna hai ik pal kisi ki chaon mein
Phir is k baad hamain rasta badalna hai
Qadam qadam pe naye khof ki basharat hai
Rah-e-talab mein hamain gir k sambhalna hai
Sitaray doob gaye ik nye sehar k liye
Unhain khabar hai k suraj nya nikalna hai
Yeh roshni ka taqaza hai iski qeemat hai
Chirag jo bhi banay ga usay to jalna hai'
|